Lyrics Gallery
Wednesday, October 15, 2008
Ye na thi hamari qismat – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Agar aur jeete rahte yahi intezar hota
Tere wade par jiye hum to ye jaan jhooth jana
Ke khusi se mar naa jaaate agar aitbar hota
Koi mere dil se puche tere teer-e-nimaksh ko
Ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
Rag-e-sang se tapakta who lahu ke phir na thamta
Jise gam samajh rahe ho ye agar sharar hota
Kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gam buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota
Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyaon na garq-e-dariya
Na kabhi janaza uthta, na kahin mazaar hota
Use kyun dekh sakta ki yagan hai who yakta
Jo dui ki bu bhi hoti to kahin do chaar hota
Ye masil-e-tasawuf, ye tera bayan ‘Ghalib’
Tujhe hum wali samjhte, jo na badkhwar hota
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Hazzzron Khwahishen Aisi – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Khwaaish pe dam nikle
Bahut nikale mere armaan lekin
Phir bhi kam nikle
Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain jis kaafir pe dam nikle
Dare kyun mera qaatil kya rahega uski garden par
Vo khoon jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikle
Hui jinse tavaqqo khastagi ki daad paane ki
Vo humse bhi ziyaadaa khastaa-e-teg-e-sitam nikle
Kahaan maikhaane ka daravaaza
‘Gahlib’ aur kahaaan vaaiz
Par itna jaante hain kal who jaata tha ke ham nikle
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Nuktaachin hai – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Kya bane baat jahaan baat banaaye na bane
Gair phirata hai lie yun tere khat ko ki agar
Koi puuchhe ki ye kya hai to chhupaye na bane
Kah sake kaun ke ye jalwa-gari kiski hai
Parda chhoda hai vo usane ki uthaye na bane
Main bulataa to hun us ko magar ae jazbaa-e-dil
Us pe ban jaye kuchh aisi ki bin aaye na bane
Ishq par zor nahin, hai ye vo aatish ‘Ghalib’
Ki lagaaye na lage aur bujahaaye na bane
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Dil-E-Naaadan – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Aakhir is dard ki davaa kya hai
Hum hain mushtaaq aur vo bezaar
Yaa ilaahi ye maajara kya hai
Sabazaa-o-gul kahaan se aaye hain
Abr kyaa cheez hai havaa kya hai
Jaan tum par nisaar karata hun
Mian nahin jaanta dua kya hai
Jab ki tujh bin nahin koi maujuud
Phir ye hungama, aey khuda kya hai
Main ne maana ki kuchh nahin ‘Ghalib’
Muft haath aaye to bura kya hai
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Ibn-e-mariyam hua kare koi – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Mere dukh ki dava kare koi
Chaal jaise kadi kamaan ka teer
Dil mein aise ki jaa kare koi
Baat par vann zubaan katati hai
Vo kahen aur suna kare koi
Jab tavaqqo hi uth gayi ‘Ghalib’
Kyon kisi ka gilaa kare koi
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Koi ummid bar nahi aati – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Koi surat nazar nahi aati
Maut ka ek din muayyan hai
Neend kyon rat bhar nahi aati
Aage aati thi hal-e-dil pe hansi
Ab kisi bat par nahi aati
Janta hun sawab-e-tahat-o-zahad
Par tabiyat idhar nahi aati
Hum wahan hain jahan se hum ko bhi
Kuch hamari khabar nahi aati
Marte hain aarzoo mein marne ki
Maut aati hai par nahi aati
Kaaba kis munh se jaoge ‘Ghalib’
Sharm tumko magar nahi aati
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Har Ek Bat Pe – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Tum hi kaho ke ye andaz-e-guftagu kya hai
Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
Kuredte ho jo ab rakh, justaju kya hai
Na shole mein ye karishma na barq mein ye adaa
Koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai
Ragon mein daudte phirne ke hum nahin qayal
Jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai
Rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
To kis ummid pe kahiye ke aarazu kya hai
Hua hai shah ka musahib, phire hai itrata
Wagarna shahar mein ‘Ghalib’ ki abaru kya hai
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Husn Gamze ki kashaakash – Ghalib by Abida Parveena (2008)
Baare aaraam se hai ahl-e-jafaa mere baaad
Shamau bujhti hai to us mein se dhuan uthata hai
Shola-e-ishq siyahaposh hua mere baad
Darakhur-e-arz nahin, jauhar-e-bedad ko, ja
Nigah-e-naaz hai surme se khafa mere baad
Gam se marta hun ke itna nahin duniya mein koi
Ke kare taaziiyat-e-mehar-o-wafa mere baad
Aaye hai bekasi-e-ishq pe rona ‘Ghalib’
Kiske ghar jaayega sailaab-e-bala mere baad
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Monday, August 11, 2008
Bekhudi Besabad - Ghalib by Abida Parveena (2008)
Kuch to hai jis ki pardadaari hai
Dil-o-mizshgaan ka jo muqadama tha
Aaj phir us ki roobqaari hai
Phir usi bewafa pe marte hain
Phir wahi zindagi hamari hai
Phir diya paaraa-e-jigar ne saval
Ek fariyaad-o-aah-o-zaari hai
Phir hue hain gavah-e-ishq talab
Ashqbari ka hukm zaari hai
Phir kuchh is dil ko beqaraari hai
Sina zoya-e-zakhm-e-kaari hai
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal
Dil Hi Tho Hai - Ghalib by Abida Parveena (2008)
Royenge ham hazaar baar koi hamen sataye kyun
Dair nahin haram nahin dar nahin aastaan nahin
Baithe hain rahaguzar pe ham gair hamen uthaaye kyun
Haan vo nahin khudaaparast, jaao wo bewafa sahi
Jisko ho diin-o-dil aziz, uski gali mein jaaye kyun
Qaid-e-hayaat-o-band-e-gam asl mein dono ek hain
Maut se pehle…aadami gam se najaat paaye kyun
Ghalib-e-khastaa ke bagair kaun se kaam band hain
Rolie zaar-zaar kya, kijiye haaye-haaye kyun
Singer: Abida Parveena
Lyrics: Mirza Ghalib
Music: Bhavdeep Jaipurwale
Labels: Ghazal